2 lakh logo mein se 20,000 aise bahartiya jinhone Mars par year 2023 mein basayi jane wali mehtavkanshi permanent space colony mein basne ke liye aavedan kiya hai. Mars par colony basane ke liye jimmedaar Mars 1 ne 5 mahine mein mangvaye aavedan mein 2,00,586 logo ne aavedan bheje the, isme se 10% aavedan sirf India se hai. Mars 1 ko 140 countries se aavedan mile the, jisme se sabse jyada aavedan America 24%, India 10%, China 6%, Brazil 5%, Britain, Canada, Russia aur Mexico 4%, Philippines, Spain, Columbia or Argentina 2%, Australia, Peru, France, Turkey, Chile, Ukraine, Germany, Italy aur Poland se 1% aavedan aaye.
In aavedano se Mars 1 chayan samiti Mangal grah par jane wali bhaavi logo ka chayan 2 saal ke andar karegi. 2015 tak 4 logo ke samuh ki 6 teams banayi jayegi jinhe 7 saal tak training di jayegi. Mars one ne kaha, iske baad in teams mein se ek team ko 2023 mein permanent taur par Mangal grah par zindagi bhar rehne ke liye bhej diya jayega. Pratham charan mein jo log chune jayenge, unhe December ke aakhir mein bata diya jayega. Chayan ka dusra round 2014 mein shuru hoga jisme ummidvaaro ka chayan samiti Interview legi.